Daba PaDa Hai Kahin Dasht Mein KHazana Mera

daba paDa hai kahin dasht mein KHazana mera

tu kis talash mein hai shahr mein diwana mera

tamam raat hai aankhon se aansuon ki kashid

tamam raat khula hai sharab-KHana mera

ye meri ruh ka jhagDa tha aasman ke sath

bila-qusur badan ban gaya nishana mera

falak ke sar pe paDe hain meri zamin ke panw

mere sirhane se uncha hai paitana mera

main ek zaKHm barabar zamin pe rahta hun

wo kah rahe hain ye qabza hai ghasibana mera

to aao ahl-e-jahan is pe faisla kar len

makan sara tumhaara darun-e-KHana mera

KHud apne aap mein hai sari meri aamad-o-raft

kahin se aana na ab hai kahin bhi jaana mera

kahan ka ishq hawas tak bhi ho nahin sakti

yahi rahega andaz andaz na mera

bikherni hai jise zulf us ka istiqbaal

wabaal-e-shahr se KHali hai ek shana mera

main KHub faqa na karta to mar gaya hota

mere KHilaf saf-ara tha aab-o-dana mera

kabhi KHuda kabhi insan rah mein hail

KHud apne aap se rishta bhi ghaebana mera

kahin mere kisi lamhe se phir hui koi chuk

phir aate aate kahin rah gaya zamana mera

tere ghayab ki KHidmat mein sara mera qusur

wajud phir bhi wahi ghair-hazirana mera

wo mere lafz ke donon suron se waqif hai

kabhi bhi kaam na aaya koi bahana mera

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daba PaDa Hai Kahin Dasht Mein KHazana Mera In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Daba PaDa Hai Kahin Dasht Mein KHazana Mera is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Daba PaDa Hai Kahin Dasht Mein KHazana Mera for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Daba PaDa Hai Kahin Dasht Mein KHazana Mera in PDF.