Jism Jab Mahw-e-suKHan Hon Shab-e-KHamoshi Se
jism jab mahw-e-suKHan hon shab-e-KHamoshi se
lafz to dete hain garmi-e-ham-aghoshi se
saKHt ahkaam-e-mohabbat hain ki dauran-e-visal
lafz aage na baDhen sarhad-e-sargoshi se
nashsha baDhta hai hamein der mein mai-noshi ke baad
us ki gunjaan KHamoshi ki nawa-noshi se
dekhne hon kabhi mani bhi to phir KHak-e-visal
ek do lafz jala deti hai KHamoshi se
jhaDa-pochha tha abhi subh ko hi KHana-e-yaad
sham tak aT gaya phir gard-e-faramoshi se
shahr ka shor pahunchta hi nahin ab mujh tak
aafiyat mein hun mohabbat ki giran-goshi se
aable panw ke pa-posh hue aaKHir-kar
umr-bhar jaan bachai thi jo pa-poshi se
log banwane lage waise hi zaKHmon ke libas
tarz-e-nau chal gai 'ehsas' ki KHush-poshi se
aatish-e-'farhat'-o-'asma' ne jalae do charagh
ek binish se jala ek jala yushi se
(843) Peoples Rate This