Jism Ke Par Wo Diya Sa Hai
jism ke par wo diya sa hai
darmiyan KHak ka andhera hai
khil rahe hain gulab honTon par
aur KHwabon mein us ka bosa hai
mere aaghosh mein sama kar bhi
wo bahut hai to istiara hai
phir se un ju-e-shir aankhon ne
be-sutun jism ko giraya hai
wo tumhaari hari-bhari aankhen
ret ko dekh len to sabza hai
bas tera nam bol deta hun
aur honTon ke pas dariya hai
raushni se bhara hua ek shaKHs
shahr bhar ke diye jalata hai
aankh bhar dekh lo ye virana
aaj kal mein ye shahr hota hai
ishq aKHbar kab ka band hua
dil mera aaKHiri shumara hai
(715) Peoples Rate This