Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain

jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain

qadr-dan husn ke ye baat baja kahte hain

us ke chehre ki ziya se hai chamak suraj ki

us ki bikhri hui zulfon ko ghaTa kahte hain

wo jo aankhon se pilae to chalo pi lenge

waise hum pine pilane ko bura kahte hain

surKH hathon ki haqiqat to hami jaante hain

jo nahin jaante wo rang-e-hina kahte hain

baat achchhi hi wo karte hain hamare haq mein

jo hamare liye kahte hain baja kahte hain

saKHt pathrili zamin par bhi khilate hain gulab

sher hum kahte hain aur sab se siwa kahte hain

ye riwayat hai zamane ki nai baat nahin

hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

aaj gahware mein baiThe hain sabhi ahl-e-adab

is faza hi ko mohabbat ki faza kahte hain

hum ne ki mashq-e-suKHan misra-e-'ghaalib' pe 'nadim'

log is bare mein ab dekhiye kya kahte hain

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain in PDF.