Jangal Uga Tha Hadd-e-nazar Tak Sadaon Ka

jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka

dekha jo muD ke naqsha hi badla tha ganw ka

jismon ki qaid toD ke nikle to shahr mein

hone laga hai hum pe guman dewtaon ka

achchha hua tahi hain zar-e-bandagi se hum

har moD par hujum khaDa hai KHudaon ka

sahra ka KHar KHar hai mahrum-e-tishnagi

kitna sitam zarif wo chhaala tha panw ka

sar rakh ke hum bhi raat ke patthar pe so gae

hum ko bhi ras aaya na tesha wafaon ka

beganagi se mujh ko na yun dekhiye ki main

hissa hun aap hi ke dariche ki chhanw ka

deta hai kaun dil ke kiwaDon pe dastaken

ye kaun rup dhaar ke aaya hawaon ka

'farigh' ghubar-e-rah ko tahqir se na dekh

paighambar-e-bahaar hai mausam KHizaon ka

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangal Uga Tha Hadd-e-nazar Tak Sadaon Ka In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Jangal Uga Tha Hadd-e-nazar Tak Sadaon Ka is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Jangal Uga Tha Hadd-e-nazar Tak Sadaon Ka for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Jangal Uga Tha Hadd-e-nazar Tak Sadaon Ka in PDF.