Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage

kuchh nahin garche teri rahguzar se aage

dekhna kufr nahin hadd-e-nazar se aage

KHud-farebi ke liye garm-e-safar hain warna

kya hai manzil ke siwa gard-e-safar se aage

mera aflak bhi taskin-e-nazar ho na saka

the wahi shams-o-qamar shams-o-qamar se aage

zindagi waqt ki diwaron mein mahbus rahi

koi parda na uTha sham-o-sahar se aage

aaj ke daur ka dawa hai ki anqa ke siwa

koi uqda nahin irfan-e-bashar se aage

qatre qatre ko taraste rahe sahra 'farigh'

jhum kar uTThe bhi baadal to wo barse aage

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage in PDF.