Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin
kisi ke bichhaDne ka Dar hi nahin
safar mein koi ham-safar hi nahin
bahut shauq ghar ko sajaane ka tha
magar kya karen apna ghar hi nahin
abhi dil mein raushan hai aisa diya
hawaon ko jis ki KHabar hi nahin
KHuda jaane kaisi KHata ho gai
duaon mein ab ke asar hi nahin
likhun zaKHm ko phul dil ko chaman
nahin mujh mein aisa hunar hi nahin
sunen bhi to kya aur sunaen to kya
koi dastan muKHtasar hi nahin
chalo aaj 'faruq' se bhi milen
kai din se us ki KHabar hi nahin
(1845) Peoples Rate This