Nind Kyun Nahin Aati

raat KHamushi le kar

jhulti hai peDon par

dasht dasht viran hain

raushni ke hangame

tirgi barasti hai

unche niche Tilon par

nind kyun nahin aati

main udas rahta hun

din ke garm mele mein

main malul rahta hun

sham ke jhamele mein

main sharab pi kar bhi

hoshiyar rahta hun

jo bhi dil pe lag jae

main wo zaKHm sahta hun

sochta hun duniya mein

main bhi kitna tanha hun

chandni ke pahlu mein

dil nawaz kirnon ko

oDh kar main leTa hun

nind kyun nahin aati

nind ek KHushbu hai

raat ki fazaon mein

ku-ba-ku bhaTakti hai

mere ghar nahin aati

mujh se dur rahti hai

phir main KHud se kahta hun

nind kyun nahin aati

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Kyun Nahin Aati In English By Famous Poet Farooq Nazki. Nind Kyun Nahin Aati is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Nind Kyun Nahin Aati for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Nind Kyun Nahin Aati in PDF.