Sunahri Darwaze Ke Bahar

larazte badan

rang kohre mein lipTe hue

adh-mari raushni ka kafan oDh kar

maut ki sar-zamin mein ujalon pe qurban hone se pahle

bahut der tak

apne ehsas ki aanch sahte rahe

sham

nim tarik rahon pe matha ragaDti rahi

kanpti thartharaati shab-e-gham ke sanche mein Dhalne se pahle

bahut der tak

sard fanus ke pas Thahri rahi

chand

aakash ke gahre nile samundar mein taron ki indar-sabha se

bahut der tak

maut ki sarzamin par ujalon ki gul-poshiyan kar raha tha

lahad-ta-lahad koi saya na KHaka

qadam-ta-qadam manzilon ke nishan gum

makinon se KHali makanon ke dar

taKHtiyan rahne walon ke namon ki le kar

bahut der tak muntazir the magar

koi dastak na aahaT

idhar

be-zaban shahr ki tirgi mein

larazte badan

kaif-o-kam ke badalte hue zawiyon mein

ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe

aur kohre mein lipTe hue

shaKH-dar-shaKH raushni se guzar kar

salibon ke sae mein dam le rahe hain

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunahri Darwaze Ke Bahar In English By Famous Poet Farooq Nazki. Sunahri Darwaze Ke Bahar is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Sunahri Darwaze Ke Bahar for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Sunahri Darwaze Ke Bahar in PDF.