Dhire Dhire Sham Ka Aaankhon Mein Har Manzar Bujha

dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha

ek diya raushan hua to ek diya andar bujha

wo to raushan qumqumon ke shahr mein mahsur tha

saKHt hairat hai ki aisa aadmi kyun kar bujha

is siyah-KHane mein tujh ko jagna hai raat bhar

in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha

zehn ki aawargi ko bhi panahen chahiye

yun na shamon ko kisi dahliz par rakh kar bujha

aur bhi ghar the hawa ki zad pe basti mein 'shafaq'

mere hi ghar ka diya tufan mein akasr bujha

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhire Dhire Sham Ka Aaankhon Mein Har Manzar Bujha In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Dhire Dhire Sham Ka Aaankhon Mein Har Manzar Bujha is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Dhire Dhire Sham Ka Aaankhon Mein Har Manzar Bujha for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Dhire Dhire Sham Ka Aaankhon Mein Har Manzar Bujha in PDF.