Din Ko The Hum Ek Tasawwur Raat Ko Ek KHwab The

din ko the hum ek tasawwur raat ko ek KHwab the

hum samundar ho ke bhi is ke liye payab the

sard se marmar pe shab ko jo ubhaare the nuqush

subh ko dekha to sab aks-e-hunar nayab the

wo ilaqe zindagi-bhar jo nami manga kiye

kal ghaTaen chhain to dekha ki zer-e-ab the

ek kiran bhi ahd mein un ke na bhule se mili

din ke jo suraj the apne raat ke mahtab the

aaj un peDon pe suraj ki kiran rukti nahin

kal yahi the bar-awar kal yahi shadab the

ab khula ki bundiyan moti hain Dhalti thin kahan

hum jo Dube hath apne gauhar-e-nayab the

koi apni bhi haqiqat mil ke dariya se 'shafaq'

chhoTe chhoTe apne nale kis qadar betab the

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ko The Hum Ek Tasawwur Raat Ko Ek KHwab The In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Din Ko The Hum Ek Tasawwur Raat Ko Ek KHwab The is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Din Ko The Hum Ek Tasawwur Raat Ko Ek KHwab The for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Din Ko The Hum Ek Tasawwur Raat Ko Ek KHwab The in PDF.