Kisi Ko Sochna Dil Ka Gudaz Ho Jaana

kisi ko sochna dil ka gudaz ho jaana

hawa ki chheD se patton ka saz ho jaana

kabhi wo guftugu jaise ki kuchh chhupa hi nahin

kabhi wo bolti aankhon ka raaz ho jaana

baDhana hath pakaDne ko rang muTThi mein

to titliyon ke paron ka daraaz ho jaana

kabhi to ghaflaten sajdon mein aur kabhi yun bhi

ki us ko soch hi lena namaz ho jaana

wo Dubta hua suraj wo karwan ka ghubar

haqiqaton ka bhi pal mein majaz ho jaana

kiwaD khulte hon jaise kisi KHazane ke

wo KHwab KHwab si aankhon ka baz ho jaana

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ko Sochna Dil Ka Gudaz Ho Jaana In English By Famous Poet Fayyaz Farooqi. Kisi Ko Sochna Dil Ka Gudaz Ho Jaana is written by Fayyaz Farooqi. Read famous Poem Kisi Ko Sochna Dil Ka Gudaz Ho Jaana for youth and Student by Fayyaz Farooqi. Free Download Kisi Ko Sochna Dil Ka Gudaz Ho Jaana in PDF.