Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi

nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

ek aan mein ufuq ka aanchal hua gulabi

ruKH se naqab un ke sarka hua hai kuchh kuchh

diwana kar na Dale ye nim-be-hijabi

sau jam ka nasha hai saqi teri nazar mein

kahte hain baada-kash bhi mujh ko tera sharabi

bekar lag rahi hain duniya ki sab kitaben

dekhi hai jab se main ne surat teri kitabi

murjhae phul sab hain kaliyon ne sar jhukae

gulshan mein ek sitam hai ye teri be-naqabi

kab chain se raha hai ye fikr ka parinda

'fayyaz' ki hai fitrat kis darja iztirabi

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi In English By Famous Poet Fayyaz Farooqi. Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi is written by Fayyaz Farooqi. Read famous Poem Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi for youth and Student by Fayyaz Farooqi. Free Download Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi in PDF.