Rah Mein Uski Chalen Aur Imtihan Koi Na Ho

rah mein us ki chalen aur imtihan koi na ho

kaise mumkin hai ki aatish ho dhuan koi na ho

us ki marzi hai wo mil jae kisi ko bhiD mein

aur kabhi aise mile ki darmiyan koi na ho

jagmagata hai sitara ban ke tab ummid ka

bujh gae hon sab diye aur kahkashan koi na ho

KHana-e-dil mein wo rahta kab kisi ke sath hai

jalwagar hota hai wo jab mehman koi na ho

kaise mumkin hai ki qisse jis se sab wabasta hon

wo chale aur sath us ke dastan koi na ho

sare aalam par wo likh deta hai us ka nam jab

koi KHud ko yun miTa le ki nishan koi na ho

ban ke lashkar sath ho jata hai wo 'fayyaz' jab

ham-safar koi na ho aur karwan koi na ho

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Mein Uski Chalen Aur Imtihan Koi Na Ho In English By Famous Poet Fayyaz Farooqi. Rah Mein Uski Chalen Aur Imtihan Koi Na Ho is written by Fayyaz Farooqi. Read famous Poem Rah Mein Uski Chalen Aur Imtihan Koi Na Ho for youth and Student by Fayyaz Farooqi. Free Download Rah Mein Uski Chalen Aur Imtihan Koi Na Ho in PDF.