Achchha Hua Main Waqt Ke Mehwar Se KaT Gaya
achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya
qatra guhar bana jo samundar se kaT gaya
zinda jo bach gae hain sahen nafraton ke dukh
apna gala to pyar ke KHanjar se kaT gaya
mausam bhi munfail hai bahut kya bharun uDan
rishta hawaon ka mere shahpar se kaT gaya
palkon par apni kaun mujhe ab sajaega
main hun wo rang jo tere paikar se kaT gaya
wo mel-jol husn o basirat mein ab kahan
jo silsila tha phul ka patthar se kaT gaya
main dhup ka hisar hun tu chhanw ki fasil
tera mera hisab barabar se kaT gaya
kitna baDa azab hai baatin ki kashmakash
aaina sab ka garmi-e-jauhar se kaT gaya
sab apni apni zat ke zindan mein band hain
muddat hui ki rabta bahar se kaT gaya
dekha gaya na mujh se maani ka qatl-e-am
chup-chap main hi lafzon ke lashkar se kaT gaya
us ke ana ki waza thi sab se alag 'faza'
kya shaKHs tha ki apne hi tewar se kaT gaya
(1260) Peoples Rate This