Aur Kya Mujhse Koi Sahib-nazar Le Jaega

aur kya mujh se koi sahib-nazar le jaega

apne chehre par meri gard-e-safar le jaega

dastaras aasan nahin kuchh KHirman-e-mani talak

jo bhi aaega wo lafzon ke guhar le jaega

chhanw mein naKHl-e-junun ki aao Thahra len use

kaun jalti dhup ko sahra se ghar le jaega

aasman ki khoj mein hum se zamin bhi kho gai

kitni pasti mein mazaq-e-baal-o-par le jaega

main hi tanha hun yahan us ki salabat ka gawah

kaun uTha kar ye mera sang-e-hunar le jaega

kaT kar dast-e-dua ko mere KHush ho le magar

tu kahan aaKHir ye shaKH-e-be-samar le jaega

past rakkho apni aawazon ko warna dur tak

baat ghar ki raKHna-e-diwar-o-dar le jaega

main uThata hun qadam haalat ki rau ke KHilaf

jaanta hun waqt ka jhonka kidhar le jaega

itni lambi bhi nahin logo ye gumnami ki umr

DhunDh kar mujh ko shuur-e-moatabar le jaega

karobar-e-zindagi tak hain ye hangame 'faza'

kya wo saya chhoD dega jo shajar le jaega

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Kya Mujhse Koi Sahib-nazar Le Jaega In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Aur Kya Mujhse Koi Sahib-nazar Le Jaega is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Aur Kya Mujhse Koi Sahib-nazar Le Jaega for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Aur Kya Mujhse Koi Sahib-nazar Le Jaega in PDF.