Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta

bahut jumud tha be-hauslon mein kya karta

na lagti aag to main jangalon mein kya karta

ek imtihan-e-wafa hai ye umr bhar ka azab

khaDa na rahta agar zalzalon mein kya karta

ho chob gili to aaKHir jalae kaun us ko

main tujh ko yaad bujhe walwalon mein kya karta

meri tamam hararat zamin ka wirsa hai

ye aaftab tere baadalon mein kya karta

ab is qadar bhi taraf-dar main nahin us ka

himayat us ki ghalat-faislon mein kya karta

ye log wo hain jo be-jurm sangsar hue

harif rah ke tere manchalon mein kya karta

main us ke chehre ki rangat nahin jo uD na sakun

sameT kar wo mujhe aanchalon mein kya karta

adab se rabta danish ka jaanta hi nahin

ulajh ke wo bhi mere masalon mein kya karta

na ras aai kabhi mujh ko bazm-e-kam-nazaran

'faza' bhi baiTh ke in pagalon mein kya karta

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta in PDF.