Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida

hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida

raha sabit-qadam yun hi agar azm-e-safar apna

karegi KHud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida

har ek tamir KHud apni tabahi sath lati hai

na girti barq gar hoti na shaKH-e-ashiyan paida

meri KHwahish ki ek sajda miTa de nam-e-peshani

teri KHwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida

wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana

ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida

zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil

salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida

nazar mein jin ki rangini tabiat mein hai ranai

wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulistan paida

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida In English By Famous Poet Fazil Ansari. Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida in PDF.