Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai

gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai

kuchh aur hai ye daur-e-bahaaran to nahin hai

hai chaak-ba-daman hi tu ai lala-e-KHud-sar

gul teri tarah dagh-ba-daman to nahin hai

achchha hi hua Dub gaya mera safina

ab kashmakash-e-sahil-o-tufan to nahin hai

taqdir ki baat aur hai warna dil-e-muztar

ummid ke bar aane ka imkan to nahin hai

is bar-e-garan ka hai uThana bahut aasan

gham hai kisi kam-zarf ka ehsan to nahin hai

pamal kare kyun koi be-dard ki sabza

begana sahi nang-e-gulistan to nahin hai

qimat mere aansu ki faqat ek tabassum

shabnam ki tarah ye koi arzan to nahin hai

kyun mujh pe nazar hai teri ai gardish-e-dauran

hasti meri duniya mein numayan to nahin hai

kuchh dagh hain kuchh zaKHm hain 'fazil' ke jigar mein

muflis hai magar be-sar-o-saman to nahin hai

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai In English By Famous Poet Fazil Ansari. Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai in PDF.