Main Jis Jagah Hun Wahan Bud-o-bash Kis Ki Hai
main jis jagah hun wahan bud-o-bash kis ki hai
mere badan ke kafan mein ye lash kis ki hai
tujhe KHayal mein la kar gul-o-nujum ke sath
ye dekhna hai ki achchhi tarash kis ki hai
KHayal-o-KHwab ki galiyon mein bhi hai virani
meri udas nazar ko talash kis ki hai
tumhaara kaam nahin to phir intizam hai kya
dil-o-jigar pe ye ek ek KHarash kis ki hai
jo aap apni hi pasmandagi pe naz kare
main KHud nahin to ye tarz-e-maash kis ki hai
(909) Peoples Rate This