Agar Ho Chashm-e-haqiqat To Dekh Kya Hun Main

agar ho chashm-e-haqiqat to dekh kya hun main

fana ke rang mein ek jauhar-e-baqa hun main

tilism-e-band se mushkil rihai hai dil ki

hisar-e-chashm-e-fusun-saz mein ghira hun main

miTa miTa ke mujhe ek din miTa dega

zamana-saz teri chaal jaanta hun main

kamal-e-ishq tasawwur hai auj par aisa

tere jamal ko har shai mein dekhta hun main

meri talash mein gum hain musafiran-e-adam

hudud-e-wahm se aage nikal gaya hun main

talash jis ki hai har ek ko main wo manzil hun

jo tai na kar sake koi wo marhala hun main

talash jis ki mujhe kho chuki hai ai 'ghawwas'

usi ko bahr-e-tahayyur mein DhunDhta hun main

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Ho Chashm-e-haqiqat To Dekh Kya Hun Main In English By Famous Poet Gawwas Qureshi. Agar Ho Chashm-e-haqiqat To Dekh Kya Hun Main is written by Gawwas Qureshi. Read famous Poem Agar Ho Chashm-e-haqiqat To Dekh Kya Hun Main for youth and Student by Gawwas Qureshi. Free Download Agar Ho Chashm-e-haqiqat To Dekh Kya Hun Main in PDF.