Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain

zamin ke sath falak ke safar mein hum bhi hain

qafas-nasib sahi baal-o-par mein hum bhi hain

wahin se luT gai raston ki tanhai

jahan pe us ne ye jaana safar mein hum bhi hain

to wo shajar jo sada barg-o-bar deta hai

misal-e-ab-e-nihan is shajar mein hum bhi hain

jise kahin se samundar ne la ke phenk diya

tumhaare sath ek aise hi ghar mein hum bhi hain

kitab the to paDhe ja sake na duniya se

lo ab charagh hue rahguzar mein hum bhi hain

KHayal aag hai shoala hai fikr lau alfaz

ye sab hunar hain to phir is hunar mein hum bhi hain

'matin' shahar bhi sahra-nazhad hai itna

ki sang-o-KHisht mein diwar-o-dar mein hum bhi hain

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Ghayas Mateen. Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain is written by Ghayas Mateen. Read famous Poem Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain for youth and Student by Ghayas Mateen. Free Download Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain in PDF.