Aae Kya Tera Tasawwur Dhyan Mein

aae kya tera tasawwur dhyan mein

kuchh se kuchh hai aan hi ki aan mein

yan ishaaraat-e-ghalat par zindagi

wan ada hai aur hi saman mein

tegh-e-qatil hai rag-e-gardan meri

aab-e-paikan dam tan-e-be-jaan mein

ya to qatil ho gaya rahm-ashna

ya paDe honge kahin maidan mein

ashk apne phir phira kar har taraf

aae aaKHir tere hi daman mein

hae kaise kaise warasta-mizaj

sar-nigun dam band hain zindan mein

kaba aankhon mein samata hi nahin

kya buton ne kah diya kuchh kan mein

aankh ke uThte hi uThte kuchh na tha

hum chale arman hi arman mein

dair-o-kaba par nahin mauquf kuchh

aur hi kuchh shan hai har shan mein

girya-e-sad-sirri aur hum kam-hausla

kashti apni aa gai tufan mein

jannat o dozaKH se kya ummid-o-bim

hasraten si hasraten hain jaan mein

KHud-parasti aur islam-afrin

kaba-e-ashiq hai kufristan mein

ai 'qalaq' kal tak gada-e-dair the

aaj dawe ho gae iman mein

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae Kya Tera Tasawwur Dhyan Mein In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Aae Kya Tera Tasawwur Dhyan Mein is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Aae Kya Tera Tasawwur Dhyan Mein for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Aae Kya Tera Tasawwur Dhyan Mein in PDF.