Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD

rishta-e-rasm-e-mohabbat mat toD

toD kar dil ko qayamat mat toD

kaam-e-nakaami bhi ek kaam sahi

toD ummid ko himmat mat toD

raat furqat ki paDi hai ai dil

ek hi nale mein taqat mat toD

us ki rahmat ko na be-kar samajh

mai-o-maiKHane ki niyyat mat toD

dekh achchhi nahin ye KHar-masti

saghar-e-baada-e-fursat mat toD

ai dil ummid-e-rihai mat bandh

aur aafat sar-e-afat mat toD

puchh mat lazzat-e-mai ai waiz

jaanwar dam-e-shariat mat toD

sehan-e-masjid ko kiye ja pamal

qaid-e-ain-e-tariqat mat toD

mai-kada dekh ke jannat ko na bhul

hirs se band-e-qanaat mat toD

is ka ehsan uThana hai hamein

gardan ai bar-e-nadamat mat toD

ai 'qalaq' but-kade mein bandh ehram

hum se lillah rifaqat mat toD

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD in PDF.