Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain

tere dar par maqam rakhte hain

qasd-e-dar-us-salam rakhte hain

ibtida apni intiha se pare

na-tamami tamam rakhte hain

aasman se kise umid-e-najat

aashiyan zer-e-dam rakhte hain

ek yusuf ki sath ghurbat mein

aise lakhon ghulam rakhte hain

be-baha shai hun main ki wo mujh ko

na-KHarida ghulam rakhte hain

sab ki sunte hain karte hain ji ki

kaam se apne kaam rakhte hain

wasl-e-mashuq hai sulaimani

wo hi jam hain jo jam rakhte hain

kuchh teri dosti ki qadr nahin

dushmani KHas-o-am rakhte hain

qais o farhad kahte hain wo mujhe

kaise gin gin ke nam rakhte hain

nalon ko rok rok lete hain

dil ko hum tham tham rakhte hain

kabe mein ek dam ki mehmani

mai-kade mein mudam rakhte hain

dil-ruba kahne se wo chaunk uThe

goya hum ittiham rakhte hain

chashm-e-bad-dur aish-e-ahd-e-shabab

subh ham-rang-e-sham rakhte hain

ai 'qalaq' baiThiye sar-e-KHum-e-mai

aap aali maqam rakhte hain

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain in PDF.