Tere Wade Ka IKHtitam Nahin

tere wade ka iKHtitam nahin

ki qayamat pe bhi qayam nahin

bewafai tumhaari aam hui

ab kisi ko kisi se kaam nahin

kis liye dawa-e-zuleKHai

ghair yusuf nahin ghulam nahin

wasl ke baad hijr ka kya kaam

dur gardun ka intizam nahin

kaun sunta hai nala-o-fariyaad

charKH ko KHauf-e-intiqam nahin

KHal-e-lab dekh kar hua malum

koi dana baghair-e-dam nahin

aap mein kyun ki aaun jab ki tu aae

KHalwat-e-KHas bazm-e-am nahin

nala karta hun log sunte hain

aap se mera kuchh kalam nahin

jis jagah hai wahan bhi hai bohtan

ki kisi ja tera maqam nahin

roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan

sham par bhi to iKHtitam nahin

hai KHuda hi 'qalaq' jo aaj bujhe

subh hote nahin ki sham nahin

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Wade Ka IKHtitam Nahin In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Tere Wade Ka IKHtitam Nahin is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Tere Wade Ka IKHtitam Nahin for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Tere Wade Ka IKHtitam Nahin in PDF.