Raaz-e-dil Dost Ko Suna BaiThe

raaz-e-dil dost ko suna baiThe

muft mein muddai bana baiThe

anjuman hai teri tilism-e-rashk

aashna hain juda juda baiThe

kasrat-e-sajda se pasheman hain

ki tera naqsh-e-pa miTa baiThe

kal jo taj-o-hasham ko chhoD uThe

aaj wo tere dar pe aa baiThe

ki hai aaKHir ko nashta-shikni

dagh par dagh hum to kha baiThe

tarz-e-saqi se dair ke sab log

kar rahe hain KHuda KHuda baiThe

shaKH-e-gul ki nazakaton se Dare

bar the musht-e-par uDa baiThe

shikwa aashiq-kushi ka farz na tha

yaad ye kya unhen dila baiThe

dard-e-sar thi dua mohabbat mein

hath hum jaan se uTha baiThe

ai qayamat tu uTh ke puchh mizaj

hain wo kuchh aap hi KHafa baiThe

roe itne ki KHun hui ummid

KHud jahaz apna hum baha baiThe

be-takalluf maqam-e-ulfat hai

dagh uTThe ki aabla baiThe

aasman Dah paDa uThe fitne

jis jagah le ke muddaa baiThe

rasm-e-tazim-e-ishq to dekho

dard uTTha ki ji mera baiThe

ai 'qalaq' tum sa bad-dimagh hai kaun

charKH ki zid pe ghar luTa baiThe

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz-e-dil Dost Ko Suna BaiThe In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Raaz-e-dil Dost Ko Suna BaiThe is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Raaz-e-dil Dost Ko Suna BaiThe for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Raaz-e-dil Dost Ko Suna BaiThe in PDF.