Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai

koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai

KHuda jaane ye kya aafat hai aafat aa hi jati hai

wo kaise hi chalen tham tham qayamat aa hi jati hai

bache koi kisi Dhab se pa shamat aa hi jati hai

sitam kar ke sitam-gar ki nazar nichi hi rahti hai

burai phir burai hai nadamat aa hi jati hai

zuleKHa be-KHirad aawara laila bad-maza shirin

sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai

charagh-o-shama bazm-e-yar kar kar ghair ko phunka

dil-e-afsurda mein aaKHir hararat aa hi jati hai

hua nazron hi nazron mein wo mahshar barq-e-sad-KHirman

mohabbat ki nigahon se shararat aa hi jati hai

pasina aa gaya un ko kiya wada jo aane ka

buri hai naz bardari nazakat aa hi jati hai

har ek se ab wo kahte hain ki lo hum par ye marte hain

jiyenge is tarah kab tak ki ghairat aa hi jati hai

nahin kuchh dil ka phirna ahd-e-dushman se tera phirna

magar kuchh soch kar aaKHir murawwat aa hi jati hai

na hoti gar nawed-e-marg kyun kar hijr mein jite

mohabbat mein bhi aasaish pe niyyat aa hi jati hai

visal-e-ghair ke qisse ko sun kar kya taDapta hun

ye arman koi ja sakta hai hasrat aa hi jati hai

agar sad-sal kije shukr-e-ulfat kijiye lekin

ye wo shewa hai bad-zan phir shikayat aa hi jati hai

'qalaq' KHat ghair ka kyun kar na aata kyun na tum paDhte

qaza likhi hui hazrat-salamat aa hi jati hai

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai in PDF.