Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil

kis qadar dilruba-numa hai dil

KHana-e-ghair ho gaya hai dil

har ghaDi kyun na zalzale mein rahe

mashhad-e-hasrat-o-wafa hai dil

maut bhi sahal kuchh nahin apni

kis liye taqat-azma hai dil

maslahat is mein ho na koi kash

dushman-e-jaan ho gaya hai dil

sab se lag chalne ki hui hai kho

kis qadar sarf-e-ashna hai dil

shaiKH-e-sanan ka yaad hai qissa

saKHt kafir buri bala hai dil

apni haalat mein mubtala hun aap

dil-ruba jaan hai jaan-ruba hai dil

balbe wamandgi ki tez rawi

jaise jaane pe aa gaya hai dil

kis jafa-kar ki wafa hai jaan

kis sitam-kash ka muddaa hai dil

teri ulfat ka naqd dagh-e-jigar

meri hasrat ka KHun-baha hai dil

kahiye kis se laga liya lagga

ai 'qalaq' kyun ke lag chala hai dil

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil in PDF.