Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum

kya aa ke jahan mein kar gae hum

ek dagh jigar pe dhar gae hum

mehman-e-jahan the ek shab ke

sham aae the aur sahar gae hum

jun shama tamam umr roe

har bazm se chashm-e-tar gae hum

apni hi nazar nahin wagarna

tu hi tha udhar jidhar gae hum

nale mein asar to kyun na hota

par tera lihaz kar gae hum

hum jaante hain ki tu hai hum mein

go DhunDne dar-ba-dar gae hum

jhagDa tha jo dil pe us ko chhoDa

kuchh soch ke sulh kar gae hum

is dasht ke KHar-o-KHas se bach kar

jon baad-e-subuk guzar gae hum

thin lutf se dil mein juraten kuchh

par tere ghazab se Dar gae hum

hasrat hi se hum bane the goya

aankh uThte hi uThte mar gae hum

derina rafiq tha 'qalaq' hae

wo kya hi mua ki mar gae hum

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum in PDF.