Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai

kya kahen tujh se hum wafa kya hai

soch kuchh dil mein puchhta kya hai

dil hai ye ya ki aabla kya hai

kyun hai itna bhara hua kya hai

kaise kaise jawan kiye barbaad

ishq kya shai hai ye bala kya hai

dil ko dena tha de diya zalim

aur hum ne tera liya kya hai

gar raqabat tumhein nahin mujh se

phir ye aaina dekhna kya hai

pahle rakh le tu apne dil par hath

phir mere KHat ko paDh likha kya hai

ab wo aankhen nahin hain pahli si

sach kaho tum ko ho gaya kya hai

shauq-e-ashiq-kushi bhala hi sahi

rahm karna bhi par bura kya hai

kya kahen hum bura ki KHu hi nahin

par kaho tum hi ye jafa kya hai

jab ki gardan pe KHun raha us ki

nam mat lo ki KHun-baha kya hai

meri aur aarzu ko tu puchhe

sochta hun ki muddaa kya hai

jaane kya kya hua hai rizq-e-KHak

gul-o-lala ko dekhta kya hai

dil ajab chiz hai to tum se aziz

rahne bhi do muamla kya hai

aage aage hain para-ha-e-jeb

mujh ko darkar rahnuma kya hai

kam nigahi bhi shart-e-husn hai par

dekh tu hum mein ab raha kya hai

qatl hote rahe hain hum se puchh

le ke shamshir sochta kya hai

pi gai KHun zamin hazaron ki

muft phir shoKHi-e-hina kya hai

donon aalam ko kyun kiya pamal

naqsh-e-pa par ye naqsh-e-pa kya hai

ai 'qalaq' kyun qalandari chhoDi

ye aba kya hai ye qaba kya hai

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai in PDF.