Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona

matam-e-did hai didar ka KHwahan hona

jis qadar dekhna utna hi pasheman hona

saKHt dushwar hai aasan ka aasan hona

KHun-e-fursat hai yahan sar-ba-gareban hona

tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla

ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona

kucha-e-ghair mein kyun kar na banaun ghar ko

meri aabaadi se aabaad hai viran hona

KHak-e-wahshi se agar rabt hai Thokar ko teri

daur-e-daman se nahin daur-e-gareban hona

na wo KHun hi hai jigar mein na wo rone ka dimagh

mil gaya KHak mein har ashk ka tufan hona

ji ka ji hi mein raha harf-e-tamanna afsos

kahna kuchh aap hi aur aap pasheman hona

dil se andaz-e-shikan zulf ne sab jama kiye

chheD kar us ko kahin tu na pareshan hona

tujh ko arman-e-KHarabi hai jo ai dehli aur

sikh ja ghar mein mere rah ke bayaban hona

dil hai ek qatra-e-KHun jis pe ye sina zori

kuchh samajhta hi nahin ham-saf-e-mizhgan hona

mujh mein kuchh tab ho ai jaan to main be-tab rahun

warna dushwar hai is raaz ka pinhan hona

yaad-e-mizhgan se idhar zaKHm-e-jigar par khana

aur udhar shorish-e-dil se namak-afshan hona

aaj wo waqt 'qalaq' par hai ki jun ibn-e-KHalil

ghair taslim nahin qatl ka aasan hona

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona in PDF.