Soe Hue Jazbon Ko Jagana Hi Nahin Tha

soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha

ai dil wo mohabbat ka zamana hi nahin tha

mahke the charagh aur dahak uTThi thin kaliyan

go sab ko KHabar thi use aana hi nahin tha

diwar pe wadon ki amar-bel chaDha di

ruKHsat ke liye aur bahana hi nahin tha

uDti hui chingariyan sone nahin detin

ruThe hue is KHat ko jalana hi nahin tha

ninden bhi nazar band hain tabir bhi qaidi

zindan mein koi KHwab sunana hi nahin tha

pani to hai kam naql-e-makani hai zyaada

ye shahr sarabon mein basana hi nahin tha

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soe Hue Jazbon Ko Jagana Hi Nahin Tha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Soe Hue Jazbon Ko Jagana Hi Nahin Tha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Soe Hue Jazbon Ko Jagana Hi Nahin Tha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Soe Hue Jazbon Ko Jagana Hi Nahin Tha in PDF.