Ubal PaDa Yak-ba-yak Samundar To Maine Dekha

ubal paDa yak-ba-yak samundar to main ne dekha

khula jo raaz-e-sukut lab par to main ne dekha

utar gaya rang-e-ru-e-manzar to main ne dekha

haTi nigah-e-bahaar yaksar to main ne dekha

na jaane kab se wo andar andar sulag raha tha

mila jo diwar mein mujhe dar to main ne dekha

tamam gard-o-ghubar dil se nikal chuka tha

baras chuka abr-e-ashk khul kar to main ne dekha

nishan qadmon ke raste mein chamak rahe the

guzar gaya wo nazar bacha kar to main ne dekha

mila ke miTTi mein rakh di us ne ibaadat us ki

jo mere aage na KHam kiya sar to main ne dekha

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ubal PaDa Yak-ba-yak Samundar To Maine Dekha In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Ubal PaDa Yak-ba-yak Samundar To Maine Dekha is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Ubal PaDa Yak-ba-yak Samundar To Maine Dekha for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Ubal PaDa Yak-ba-yak Samundar To Maine Dekha in PDF.