Rah Gai LuT Kar Bahaar-e-zindagi

rah gai luT kar bahaar-e-zindagi

zindagi hai sogwar-e-zindagi

meri nazron mein hasin dhoka hai ek

jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi

kulfaten kuchh talKHiyan kuchh hadse

ab yahi hai yaadgar-e-zindagi

miT raha ho jo kisi ke ishq mein

phir kahan us ko qarar-e-zindagi

teri ulfat tera gham tera KHayal

kuchh yahi hai karobar-e-zindagi

apna dil hi jab paraya ho gaya

kaun ho ab raaz-dar-e-zindagi

tere dam se thi bahaaron mein bahaar

ab kahan hai wo bahaar-e-zindagi

sukhe patton se ye kahti hai KHizan

yun utarta hai KHumar-e-zindagi

apne daman se hawa dete raho

bujh na jae ye sharar-e-zindagi

ai 'shafaq' kis ne bigaDa hai ise

kaun hai parwardigar-e-zindagi

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Gai LuT Kar Bahaar-e-zindagi In English By Famous Poet Gopal Krishna Shafaq. Rah Gai LuT Kar Bahaar-e-zindagi is written by Gopal Krishna Shafaq. Read famous Poem Rah Gai LuT Kar Bahaar-e-zindagi for youth and Student by Gopal Krishna Shafaq. Free Download Rah Gai LuT Kar Bahaar-e-zindagi in PDF.