Roz Raushan Rahen Haalat Zaruri To Nahin

roz raushan rahen haalat zaruri to nahin

chandni raat ho har raat zaruri to nahin

barq gir jae agar ghar bhi jala sakti hai

us ke pahlu mein ho barsat zaruri to nahin

daman-e-ishq mein raKHshan hain hazaron KHushiyan

gham hi ho ishq ki saughat zaruri to nahin

mast aankhon se bhi hum pyas bujha sakte hain

baKHshish-e-mir-e-KHarabaat zaruri to nahin

hum ko rona hai to ro lenge kahin bhi ja kar

husn ki bazm-e-tilismat zaruri to nahin

un ki yaadon se taKHayyul ko sajae rakhiye

ho kabhi un se mulaqat zaruri to nahin

din badalte hain to rishte bhi badal jate hain

umr bhar un ki inayat zaruri to nahin

ai 'shafaq' aap hi kuchh surat-e-izhaar karen

un ki jaanib se chale baat zaruri to nahin

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz Raushan Rahen Haalat Zaruri To Nahin In English By Famous Poet Gopal Krishna Shafaq. Roz Raushan Rahen Haalat Zaruri To Nahin is written by Gopal Krishna Shafaq. Read famous Poem Roz Raushan Rahen Haalat Zaruri To Nahin for youth and Student by Gopal Krishna Shafaq. Free Download Roz Raushan Rahen Haalat Zaruri To Nahin in PDF.