Ab To Mazhab Koi Aisa Bhi Chalaya Jae

ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae

jis mein insan ko insan banaya jae

jis ki KHushbu se mahak jae paDosi ka bhi ghar

phul is qism ka har samt khilaya jae

aag bahti hai yahan ganga mein jhelam mein bhi

koi batlae kahan ja ke nahaya jae

pyar ka KHun hua kyun ye samajhne ke liye

har andhere ko ujale mein bulaya jae

mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuchh aisa

main rahun bhuka to tujh se bhi na khaya jae

jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise

mera aansu teri palkon se uThaya jae

git unman hai ghazal chup hai rubai hai dukhi

aise mahaul mein 'niraj' ko bulaya jae

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Mazhab Koi Aisa Bhi Chalaya Jae In English By Famous Poet Gopaldas Neeraj. Ab To Mazhab Koi Aisa Bhi Chalaya Jae is written by Gopaldas Neeraj. Read famous Poem Ab To Mazhab Koi Aisa Bhi Chalaya Jae for youth and Student by Gopaldas Neeraj. Free Download Ab To Mazhab Koi Aisa Bhi Chalaya Jae in PDF.