Badan Pe Jis Ke Sharafat Ka Pairahan Dekha

badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha

wo aadmi bhi yahan hum ne bad-chalan dekha

KHaridne ko jise kam thi daulat-e-duniya

kisi kabir ki muTThi mein wo ratan dekha

mujhe mila hai wahan apna hi badan zaKHmi

kahin jo tir se ghayal koi hiran dekha

baDa na chhoTa koi farq bas nazar ka hai

sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha

zaban hai aur bayan aur us ka matlab aur

ajib aaj ki duniya ka wyakaran dekha

luTere Daku bhi apne pe naz karne lage

unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha

jo sadgi hai kuhan mein hamare ai 'niraj'

kisi pe aur bhi kya aisa bankpan dekha

(1354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Pe Jis Ke Sharafat Ka Pairahan Dekha In English By Famous Poet Gopaldas Neeraj. Badan Pe Jis Ke Sharafat Ka Pairahan Dekha is written by Gopaldas Neeraj. Read famous Poem Badan Pe Jis Ke Sharafat Ka Pairahan Dekha for youth and Student by Gopaldas Neeraj. Free Download Badan Pe Jis Ke Sharafat Ka Pairahan Dekha in PDF.