Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha

dil ke daman mein jo sarmaya-e-afkar na tha

zindagi thi magar us ka koi mear na tha

jaane kyun baat meri un ko giran-bar hui

lafz aisa to koi shamil-e-guftar na tha

kaun sunta meri kis ko main sadaen deta

aisi ghaflat thi ki ehsas bhi bedar na tha

har taraf dhup thi phaili hui uryani ki

sar chhupane ko kahin saya-e-kirdar na tha

aasman chir ke rakh deti sadarat meri

wo to kahiye koi dushman pas-e-diwar na tha

zahr ka ghunT bil-aKHir use pina hi paDa

baat ye thi wo zamane ka taraf-dar na tha

us ki begana-rawi se use samjha main ne

tishna-e-KHun-e-wafa tha karam-e-asar na tha

jis ko dekha wo haqaeq pe tha parda Dale

aaina-dar-e-haqiqat koi kirdar na tha

eatibar-e-dil-e-pur-shauq bhi paida karte

kaam aane ka faqat jazba-e-isar na tha

kaam aankhon se na lete to bhala kya karte

dard pinhan the bahut par lab-e-izhaar na tha

sarfaraazi meri qismat mein na thi warna 'guhar'

nok-e-neza pe pahunchna koi dushwar na tha

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha in PDF.