Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib

gham nahin jo luT gae hum aa ke manzil ke qarib

jaane kitni kashtiyan Dubi hain sahil ke qarib

sarfaroshi meri koi rang dikhla jaegi

aa gaya hun ye irada le ke qatil ke qarib

sirf dil ki be-hisi thi fasla kuchh bhi na tha

jab kiya ehsas paya aap ko dil ke qarib

tum ne jo rakkha yun hi taKHrib-karana mizaj

kaun aane dega tum ko apni mahfil ke qarib

rukte hain kab rokne se mauj-e-tufan ke 'guhar'

hausle wale pahunch jate hain sahil ke qarib

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib in PDF.