Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha

waraq waraq jo zamane ke shahkar mein tha

wo zindagi ka sahifa bhi intishaar mein tha

jise main DhunD raha tha nawa-e-bulbul mein

wo naghma pairahan-e-gul ke tar tar mein tha

main qatl ho ke zamane mein sarfaraaz raha

ki meri jit ka pahlu bhi meri haar mein tha

kaleje sare daraKHton ke sahme jate the

hawa ka ruKH tha bhala kis ke iKHtiyar mein tha

wo na-shanas-wafa sej par tha phulon ki

main aashna-e-wafa dasht-e-KHar-KHar mein tha

dayar-e-ghair mein hasil thin shohraten mujh ko

main ajnabi ki tarah apne hi dayar mein tha

samajh raha tha main KHwabida KHud ko sahil par

khuli jab aankh to dariya ki tez dhaar mein tha

nigah walon mein us ka bharam na rah paya

wo sang tha magar aainon ki qatar mein tha

mohabbaten thin mere iKHtiyar mein lekin

mohabbaton ka sila us ke iKHtiyar mein tha

chamak raha wahi gauhar-e-wafa ban kar

'guhar' jo ashk meri chashm-e-intizar mein tha

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha in PDF.