Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh

tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

sahil ki tamanna hai to maujon ka safar dekh

KHushiyon ka KHazina tah-e-daman-e-alam hai

guzre shab-e-tarik to phir nur-e-sahar dekh

uD jaana falak tak koi mushkil nahin lekin

suraj ke tamazat se jhulas jaen na par dekh

mearaj hai mearaj tere zauq-e-nazar ki

har manzar-e-dil-kash yahi kahta hai udhar dekh

chashme hain na dariya na samundar hai na jhilen

hai pyas ki aalam hain sarabon ka safar dekh

Takraen to sahraon mein bhi aag laga den

poshida rag-e-sang mein hain kitne sharar dekh

tu ne to meri samt se munh moD liya hai

ab hoti hai kis tarah meri umr basar dekh

tu apni hifazat ki dua mang chuka hai

ab baiTh ke KHalwat mein duaon ka asar dekh

is kar-gah-e-dahr mein ai rahmat-e-alam

ek main hi nahin sab hain tere dast-e-nigar dekh

kya tah mein samundar ki 'guhar' DhunD raha hai

meri sadaf-e-chashm mein ashkon ke 'guhar' dekh

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh in PDF.