Aaina Hai Ye Jahan IsMein Jamal Apna Hai

aaina hai ye jahan is mein jamal apna hai

surat-e-ghair kahan hai ye KHayal apna hai

bas ki hon hech-madan us pe main karta hun ghamanD

be-kamali mein mujhe apni kamal apna hai

nala-o-ah hai ya girya-o-zari hai yahan

puchhte kya ho jo kuchh hijr mein haal apna hai

talib ek bose ka hun dete ho kya saf jawab

kuchh bahut bhi nahin thoDa hi sawal apna hai

hai bura ya bhala jo kuchh ki hai tera hai 'huzur'

is ke tain ghar se mat apne tu nikal apna hai

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Hai Ye Jahan IsMein Jamal Apna Hai In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Aaina Hai Ye Jahan IsMein Jamal Apna Hai is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Aaina Hai Ye Jahan IsMein Jamal Apna Hai for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Aaina Hai Ye Jahan IsMein Jamal Apna Hai in PDF.