Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya

chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya

us ko rote the ki suna ye nagar bhi ho gaya

log usi surat pareshan hain jidhar bhi dekhiye

aur wo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya

baam-o-dar par hai musallat aaj bhi sham-e-alam

yun to in galiyon se KHurshid-e-sahar bhi ho gaya

us sitamgar ki haqiqat hum pe zahir ho gai

KHatm KHush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya

(1769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya In English By Famous Poet Habib Jalib. Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya is written by Habib Jalib. Read famous Poem Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya in PDF.