Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha

dil-e-pur-shauq ko pahlu mein dabae rakkha

tujh se bhi hum ne tera pyar chhupae rakkha

chhoD is baat ko ai dost ki tujh se pahle

hum ne kis kis ko KHayalon mein basae rakkha

ghair mumkin thi zamane ke ghamon se fursat

phir bhi hum ne tera gham dil mein basae rakkha

phul ko phul na kahte so use kya kahte

kya hua ghair ne collar pe sajae rakkha

jaane kis haal mein hain kaun se shahron mein hain wo

zindagi apni jinhen hum ne banae rakkha

hae kya log the wo log pari-chehra log

hum ne jin ke liye duniya ko bhulae rakkha

ab milen bhi to na pahchan saken hum un ko

jin ko ek umr KHayalon mein basae rakkha

(1822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha In English By Famous Poet Habib Jalib. Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha is written by Habib Jalib. Read famous Poem Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha in PDF.