Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga

wo dekhne mujhe aana to chahta hoga

magar zamane ki baaton se Dar gaya hoga

use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka

ye shauq auron ko shayad bura laga hoga

kabhi na hadd-e-adab se baDhe the dida o dil

wo mujh se kis liye kisi baat par KHafa hoga

mujhe guman hai ye bhi yaqin ki had tak

kisi se bhi na wo meri tarah mila hoga

kabhi kabhi to sitaron ki chhanw mein wo bhi

mere KHayal mein kuchh der jagta hoga

wo us ka sada o masum walehana-pan

kisi bhi jug mein koi dewta bhi kya hoga

nahin wo aaya to 'jalib' gila na kar us ka

na-jaane kya use darpesh masala hoga

(2316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga In English By Famous Poet Habib Jalib. Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga is written by Habib Jalib. Read famous Poem Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga in PDF.