Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai

wahi husain wahi qatilon ka lashkar hai

ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko

hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai

yaqin kis pe karen kis ko dost Thahraen

har aastin mein poshida koi KHanjar hai

gila nahin mere honTon pe tang-dasti ka

KHuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai

koi to hai jo dhaDakta hai zindagi ban kar

koi to hai jo hamare dilon ke andar hai

use qarib se dekha to ye hua malum

wo bu-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai

samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum

hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai

meri jabin ko haqarat se dekhne wale

meri jabin se tera aastan munawwar hai

tumhaare qurb ki lazzat nasib hai jis ko

wo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai

hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum

hamare KHun ka pyasa har ek KHanjar hai

wo mere samne aae to kis tarah aae

koi libas hai us ka na koi paikar hai

har ek bala se bachae hue hai jo hum ko

hamare sar pe ye man ki dua ki chadar hai

bhaTak raha hun main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein

koi to mujh ko batae kahan mera ghar hai

abhi 'hafiz' gulabon ki baat mat kije

lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai

(1037) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai in PDF.