Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala

lahu ki mai banai dil ka paimana bana Dala

jigar-daron ne maqtal ko bhi mai-KHana bana Dala

hamare jazba-e-tamir ki kuchh dad do yaro

ki hum ne bijliyon ko shama ka shana bana Dala

sitam Dhate ho lekin lutf ka ehsas hota hai

isi andaz ne duniya ko diwana bana Dala

bhari mahfil mein hum ne baat kar li thi un aankhon se

bas itni baat ka yaron ne afsana bana Dala

mere zauq-e-parastish ki karishma-saziyan dekho

kabhi kaba kabhi kabe ko but-KHana bana Dala

shikayat bijliyon se hai na shikwa baad-e-sarsar se

chaman ko KHud chaman walon ne virana bana Dala

chalo achchha hua duniya 'hafiz' ab dur hai hum se

mohabbat ne hamein duniya se begana bana Dala

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala in PDF.