Dil-e-be-muddaa Hai Aur Main Hun

dil-e-be-muddaa hai aur main hun

magar lab par dua hai aur main hun

na saqi hai na ab wo shai hai baqi

mera daur aa gaya hai aur main hun

udhar duniya hai aur duniya ke bande

idhar mera KHuda hai aur main hun

koi pursan nahin pir-e-mughan ka

faqat meri wafa hai aur main hun

abhi miad baqi hai sitam ki

mohabbat ki saza hai aur main hun

na puchho haal mera kuchh na puchho

ki taslim o raza hai aur main hun

ye tul-e-umr na-maqul o be-kaif

buzurgon ki dua hai aur main hun

lahu ke ghunT pina aur jina

musalsal ek maza hai aur main hun

'hafiz' aisi falakat ke dinon mein

faqat shukr-e-KHuda hai aur main hun

(16427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-be-muddaa Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Dil-e-be-muddaa Hai Aur Main Hun is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Dil-e-be-muddaa Hai Aur Main Hun for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Dil-e-be-muddaa Hai Aur Main Hun in PDF.