Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin

dosti ka chalan raha hi nahin

ab zamane ki wo hawa hi nahin

sach to ye hai sanam-kade walo

dil KHuda ne tumhein diya hi nahin

palaT aane se ho gaya sabit

nama-bar tu wahan gaya hi nahin

haal ye hai ki hum gharibon ka

haal tum ne kabhi suna hi nahin

kya chale zor dasht-e-wahshat ka

hum ne daman kabhi siya hi nahin

ghair bhi ek din marenge zarur

un ke hisse mein kya qaza hi nahin

us ki surat ko dekhta hun main

meri sirat wo dekhta hi nahin

ishq mera hai shahr mein mashhur

aur tum ne abhi suna hi nahin

qissa-e-qais sun ke farmaya

jhuT ki koi intiha hi nahin

wasta kis ka den 'hafiz' un ko

un buton ka koi KHuda hi nahin

(1662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin in PDF.